Gar gam bhi they atey toh kehtey they sabhi
Na jaaney ye ansun kahan jatey hain
Man hi man mei khotey jatey hain
Haan, nahi they kabhi hastey
Par rothey bhi they kahaan
Phir kyun tum yun aaye
Aur bney hamarey jahaan
Hum toh khush they
Ki khush hona hi nahi ata tha
Ansu bhi nai atey they
Nasamajh sa jana jata tha
Janey kab bney hum saye
aur odtey chaley nakaab par nakaab
humei laga humney badan utaar kar rakh diya
rooh bhi de di aur jism ko bhi jala diya
Hum toh Banjar ankhein rakhtey they kabhi
Gar gam bhi they atey toh kehtey they sabhi
par pathar se tumne jab humko yun toda
ansu bhi nikal diye aur murda bhi na chora
hum reh gye ek adhoori si rooh ke saath
ansu giraney ki khwahish toh hui poori
par zindagi reh gyi kuch adhoori
ya shayad kuch palon mei zindagi si ji li thi
poori
hastey rotey , pehle kareeb fir doori
adhoori si kahaani toh tab hoti jab woh
khatm na hoti
par kahani toh shuru bhi hui aur khatm bhi
bus pata hi nahi chala
kab kahani hmari hasti bn gyi
pata hi nahi chala
kab mai usmei dhasti chali gyi
resham si dor kaath ki maati
hasti, roti, gaati, muskurati
maan liya tha tumhe apna jahaan
kar diya tha sab kuch tumpe nawa
Hum toh Banjar ankhein rakhtey they kabhi
Gar gam bhi they atey toh kehtey they sabhi
phir kyun saja kar yun kheechad uchaal diya
phir kyun tumney humko ye sila diya
kehtey they ankhon mei bhar kar pyaar
har roz tumko karengey pyaar
ab kaise dekhein bin tumharey hum unhe
woh chaand woh tarey
woh ab bhi saath hain
na saath hain woh rahein
na ab saath aap hain
Hum toh Banjar ankhein rakhtey they kabhi
Gar gam bhi they atey toh kehtey they sabhi
Har dua mei aj bhi aap saath hain
Na saath hain woh sapney jismei hum tum
saath hain
Rooh jaanti hai us rooh ka raasta
Kaise samjhe ab ye badla sa waasta
Kabhi ankhein tarasti thi ru -ba-ru ke liye
Ab badaltey hain raasta na dikhney ke liye
Gar dekh liya tumhe is baar
Kaise samjhayenge isey iski haar
Kasie btayenge ki pyaar pyaar nahi samay
tha
Woh sara sansaar mehez ek chal tha
Kaise saamna karenge us rooh ka
Jo aaj bhi ye maanti hai
Ki ankhein kabhi jhooth nahi kehti
Aur sansein yun hi nahi tham jati hain
Jo aaj bhi un bahon ko dhoondti hai
Jinka mehez ek sparsh
Rooh tak ko hila deta tha
Woh ye nahi samajhti
Ki waqt badalta hai
Log bhi
Aur shayad
Unke andar ki woh saari bhaawnaein
Jo kabhi apni si lagti thin
Par ab woh door hain
Bahut door
Hum toh Banjar ankhein rakhtey they kabhi
Gar gam bhi they atey toh kehtey they sabhi
Par ab bhavnaein bhi ati hain
Aur gardish bhi
ab unki yaad bhi ati hai
Aur hum chale jatey hain
Unse door bhi
Nazdeekiyaan aur phir doori
Woh pyaar
Phir majboori
Hum toh Banjar ankhein rakhtey they kabhi
Gar gam bhi they atey toh kehtey they sabhi
Shayad inhi se ansu bantey hain
Shayad inhi se dil beheltey hain.
amazingly written poetry with real depth...
ReplyDelete:) thanks :)
ReplyDelete