Friday, October 17, 2014

woh bheegey pal



Aaj phir maangney ko ji chahta hai
Raastey pe hamarey jo bhi ata hai
Poochtey hain us khuda ka pata aur doori
Kaisi kashish kaisi majboori
Yun toh sheeshey sa mukaddar hai hamara
Chamakta hai yun jo muththi mei ho jag saara
Ek ahat se toot jata hai par yun
Woh awaz janey ayi fir kyun
Pathar si rooh kaanp uthati hai sau baar
Ata hai dar pe jab mera yaar
Karti hai saans yon hawa se batein
Ati hain mujhko jab teri yadein
Bheegi zulfon mei teri chahat
Woh dabi si hasi woh dheemi si ahat
Ankhon ko hauley se labon par lagana
Woh rooth ke jana aur daud ke ana
Raat ki khamoshi mei teri parchai
Atey hain ab bhi jab hai tanhai
Janey kya fusfusa sa dete hain
Ankhon ki neend le lete hain
Yon toh zamana hai saath hamarey
par door hi lagtey hain ab bhi sarey
khud se kareeb toh hum they kabhi
khud hi ko dhoondtey rehtey hain abhi
na raasta na manzil bus dheron chaurahey
janey kya kehti hain humse rahein
bus pukarti hain hamara naam
jaise har sham woh shama aur jaam
khinchey chaley jatey hain un anjaan rahon pe
suntey jatey hain har kahani un pyalon se
jo bhar na sakey humko toh tod hi diya
katran sa bana kar yun humko chor diya
lauta do woh shamein woh ratein
woh pyaar bhari ankhein aur pyaari si batein
keh do ki tum kabhi they hi nahi
shayad maine woh akhiri pal jiye hi nahi
par sach tha woh pyaar
aur sach ki thi takraar
aur sachi hai ye pyaas
tumhari ahat tumhara ehsaas
aaj phir mangney ko ji chahta hai
dar pe hamarey jab bhi koi ata hai
gar kuch nahi toh humei hum pa jayein
un chaurahon se door woh thandi si chaany
raat ki chaandni mei bheeni si muskaan
woh ganey ki dhun mei ghultey se kaan
janey kab ab khul kar muskurayengey
jane woh kab is gali ayengey.

- mystical wanderer



No comments:

Post a Comment