Jise ana hai aye,
Jise jaana hai jaaye.
Jise jo samajhna hai samjhe.
Ye zindagi mujhe mere
Ammi abbu ne di hai.
Us kaaynaat ne di hai.
Us khuda ne di hai.
Meri qismat, meri buddhi,
Meri awaargi, meri zindagi
Sab rehmat hai in sab ki
Aur in sab se bhi zyada hai ye
Meri khud ki.
Haan karna hai bahaut kuch
Bahauton ke liye
Par auron ko khush karne
Nakli sheesha ban kar nahi
Jeena hai mujhe
Paa kar khud ko.
Arrey mai hi khud ko talaash rahi hoon
Har roz kuch naya seekh
Har roz khud ko taraash rhi hoon
Toh tum kya samjhoge
Jo jaante hi nahi mujhe dhang se
Shakl hi dekhi hogi
Ya do pal guzarenge honge
Ya apni seemit soch se
Mere kuch aks tole honge.
Mai to paani hoon
Beh rhi hoon
Har roz kisi nayi ghaati par
Kal kal khel rhi hoon
Dekho aaj mai badal ban kar ud rhi hoon
Mehsoos karo
wo hawa bhi mai hi hoon
Aur ye jo agni tum sekte ho na
Akele thand mein
Uski taap aur jalan koi aur nahi
Mai hi hoon
Aur wo suraj ko jo tum niharte ho subah sham
Uski kirno ki lalima bhi mai hi hoon.
Aur jin pahadon ko door se nihaar
Tum baar baar karte ho
Apne pyaar ka izhaar
Uski jaan, uski shakti, uspar lehrati har Patti patti
Mai hi hoon
Aur tum mei jitne aks hai mere bnte
Wo bhi mai hun
Aur mai kuch bhi nahi hoon.
Aur jab kuch nahi to kaun tum
Kaun mai?
Jaise sab ek
Jaise har ek anek.
Har koi apna lagta hai
Har koi sapna lagta hai.
Tum kaun aur mai kaun
Aur ye aks kaun.
Mai toh khud ko talaash rhi hun
Har roz taraash rahi hun
Kabhi ghul rhi hoon
Kabhi naach rhi hoon
Kabhi kuch nahi hoon
Kabhi har kuch mai hi hun
Toh kya farq padta hai
Ki tum kya sochte ho
Tum ho ya nahi ho
Tum mere baare mei kya sochte ho
Ho skkta hai wo sab sach ho
Ya ho skta hai
Tum hi sach na ho
Kyunki sach to kuch nai bas
Maana hua tathya hai
Har din kuch naya hai
Har din ek mithya hai
Waqt chalta hai
Fir bhi samundar sa vistrit hai
Tum bhi ek leher
Main bhi
Fir kaun kya hai
Kiska aks satya hai?
Jise ana hai aye,
Jise jaana hai jaaye.
Jise jo samajhna hai samjhe.
Hain to hum sab lehrein hi shayad.
Ya fir kuch aur hi hai satya.
Mai khud khud ko talaash rahi hun.
Tumhe kya batayun satya.
Mai bhi yatri, tum bhi
Mai bhi waqt, tum bhi
Mai hun tum
Tum ho mai
Aah! Kaisi tu tu mai mai.
No comments:
Post a Comment