Wednesday, November 2, 2016

Kisi ke jeeney mein


'Ik shabhnami moti ne meri
Tamaam zindagi thaveel kar di.
Ik lamhe ke liye.
Is lamhe ho Kaise fariyaad karun
Jisne meri zindagi sanwari
Jisne mujhe khwabon ki
Dher saari khushiyon se
Aarasta kiya
Zindagi yun hi jamagati rhegi
Kai safino mein.
Zara Gaur kar ke dekh
Is chehkti duniya ko
Yahan kuch nahi bus
Ik gamo ka khazana hai.
Zindagi to iske baad
Shuru hone wali hai.
Jab jyun ki yaqeen AA jayega.
In lamhon ki khoobsurti ko
Khushiyon SE nibhaya karo
Vrna yadein to rahengi
Par tum dhundhte rahoge.
Milegi tum ko ye hargiz
Magar tum rahoge
Wo na rahega.
Kai aur khwabein honge
Tabeerein to hongi usmei
Magar tabeer karne wala na hoga.
Zindagi to bus
Chaar dino ka faasla hai.
Rooh to tadpegi apki
Magar mujasma na hoga.
Zindagi mein dushwarian
Ayein jayengi.
Dushwariyan rahengi
Magar tumhari dastaan
Tak na rahegi.
Dastano main.
Bahaut ho gye afsane yaron
Kisi ke jeeney ke liye
Apna jeena
Kurbaan kar dete hain.'

Lamhe lamhe ko jeete hain
Chal aaj is pal ko seete hain
Yaqeen aur mohabbat
Imaam aur muqaddar.
Kal ayega shayad
Kal hi.
Tum chale jaogey.
Hum bhi jeena seekh lenge
Kal ka kya pata
Kya tum aogey?
Is pal mein jee lete hain
Zindagi rahegi
To kuch aur pal payenge
Yakeeno yaarano mein khumaar
Kal bhi humei
Saath khada payenge.

'Parvaaz' aur Mystical Wanderer



No comments:

Post a Comment