Kai meelon door
Kai Parton andar
Agar sun sakta hai to sun
Har dhadkan tujhe pukarti hai
Har dhun tujhe manti hai
Meri rooh ki saadgi
Janmon ki pyaas bhi
Mera har andaaz
Nakhre naaz
Ankhon ka raaz
Sar ka taaj
Bas tera ehsaas
Bas teri awaaz
Waqt ke panne palat kar dekh
Peeche bhi hum they
Agey bhi hum milenge
Akele nai hai tu
Jab bhi jagega
Saath khade milenge.
Teri taal par mere ghunghru naachte huye
Tere sur se sur milate huye
Tujhe taakte huye
Muskurate huye
Tujh par faqr rakhte
Tujhe lubhate huye
Kai meelon door
Kai parton andar
Sun sakta hai to sun
Teri hun mai
Aur tu mera
Ye koi haq nai
Yeh rishta hai gehra
Rooh se rooh ka milan
Bin chue sirhan
Pakeezgi aur zindagi
Ka milan
Man hi man
Man hi man
No comments:
Post a Comment